popri
Posted June 13, 2009 by popri
Juz teray koi bhi din raat na jaanay meray, Tu kahan hai magar ae dost puranay meray. Sham’ma key lou tou thee kay who tu tha magar hijar ki raat, Dair tak rota raha koi sarhanay mairay. Khalq key bay kahbri hai kay meri rusvaye, Loog mujh ko he sunatay hein fasanay mairay. Aaj ek aur baras beet gaya us kay baghair, Jis kay hotay hoye hotay they zamanay mairay. Kaash tub hi mairi awaaz kahin suntan ho, Phir pukara hai tujhay dil key sada nain mairay. Kaash tu bhi kabhi ajaaye masihayee ko, Loug aatay hein bouhat dil ko dukhanay mairay Kaash auroon key tarahan main bhi kabhi keh sakta, Baat sun lee hai mairi aaj khuda nay mairay. Chaara gar yu tou bohat hein magar ae jaan-e-Faraz, Juz teray or koi zakham na jaanay meray
Tags: ae, jaan-e-Faraz
Comments
quewoapochico wrote at July 13, 2009
0 Votes
hello
ji hal ne
quewoapochico